Wednesday, 13 June 2007

Mirza Asadulla Khan 'Ghalib'

Have you ever gone gaga about Ghalib? No? Then what are you waiting for!
http://www.smriti.com/urdu/ghalib/ check out this link for preliminaries.

Ghalib ne poochha -
Ghalib-e-khasta ke bagair, kaun se kaam band hain
Roi.ye zaar zaar kya, kijiye haai-haai kyu?

Unhone ye bhi farmaya -
Duboya mujhko hone ne
Na main hota, to kya hota?

Unke na hone se kya hota?
Rekhtey* ke tumhi ustaad nahi ho 'Ghalib'
Kehtey hain agle zamaaney me koi 'Meer' bhi tha!

Ab aap poochhoge -
Poochhtey hain woh ki 'Ghalib' kaun hai
Koi batlao ki hum batlayen kya?

To hum arz karenge -
Ye masaai.le-tasavvuff,** ye tera baya'Ghalib'
Tujhe hum wali*** samjhtey jo na baadahkhwaar**** hota!


(*Urdu) (**Philosophy of life) (***Saint)(****Drunk)

2 comments:

Kabir said...

Likha to unhone bahut kuch: Sabhi puchte the ki kaise :-

Kaha Ki :


Aaten hain gaib se ze mazamin khyal mein, Ghalib sarir-e-khama nawai sarosh hai .

(These ideas or thoughts come from the cosmos, Ghalib, your pen is merely a medium of the voice of the gods)

COOLDEEPTEA said...

Thank You for the lovely addition :)